| |
koee humadam naa rahaa, koee sahaaraa naa rahaa
hum kisee ke naa rahe, koee humaaraa naa rahaa
shaam tanahaee kee hai, aayegee manzil kaise
jo muze raah dikhaaye, wahee taaraa n rahaa
kyaa bataaoo main kahaa, yoo hee chalaa jaataa hoo
jo mooze fir se bulaa le, wo ishaaraa naa rahaa
|